Best 08 most Popular Bollywood Action Movies

 Aj hum 08 poplar bollywood movies ky baray main jane gay



1 Shubh mangal zayada savdhan

Ya february  main release honay wali romantic movie jis ki main cast main iyashman khurana aor jutainder kumar hay is movie main gay relation k baray main dekhaya jata hay ky kis tarha gay marriage hoti hay kia hota hy is movie main ya comedy aor romantic movie hy 


2 Panga

January  main release honay wali is movie main jis main sports kay baray bataya gya hay ky kis tarha aik working mother kesy struggle krtii hy is main main lead heroin jo hotii hy wo aik kabadii player hotii hay wo kis tarha mehnat karti hay kis tarha koshish karti hay iski main cast main jassi gel aor kanga renod is movie ko intresting banatay hain


3 Thappad

Is movie main har house wife ki deep killing ko dekhaya gaya hay film main hume aik larki amrita ki story btati hay jo ky bohat hi achi wife hay wo boht hi khushii say reh rahay hotay hain unki married life khrab tab hoti hy jb us ka husband aik party main uskay chehray par thapr marta hay phr aagy unky sath kia hota ya sab movie main dekhaya gaya hy 



4 Chaman bahar

ya jaytendar kumar kii film hay jo bohat hi famous hoi hay is main dekhaya gaya hay kay aik paan wala hota hay wo aik smaal town main apni dokan chalata hay usko samnay ghar aik larkii say pyar hojata hay is ky bad love story shuru hojati hay phr kab khatm hoti hay ap is movie main dekhen gay


5 Malang

 Release honay wali ya movie jis main apko action ky sath sath romantic moments bi dekhnay ko milen gay is ki main cast main anil kapoor aditay roay kapoor hain aor dishaapatani hay is movie main jab main leed aik party main miltay hain to unko pyar hojata hay in ki story main twist tb aata hy jab police walo ki entry in ki life main hoti hay us ky bd kia hota hay wo ap is film ko dekh ky pata laga saktay hain

 

6 Kaamyaab

Release honay wali is movie main aik actor sudeer ki kahani batai jati hay ky retirement honay kay bad usko pata chalta hay kay agar kuch arsa aor wo us field main rehta to wo koi record bana sakta tha lekin ab dobara wo sab kar kay record bnana chahta hay par ab wo itna asaan ni tha  ab aagy kia hoga wo ap movie dekhen boht hi intresting hay


7 Engrezi Medium

Irfan khan jo ky fine actor reh chukay hain unki ya movie jis main dekhaya gaya hay ky kis tarha aik baap middle class family main rehtay hway apni beti ky london main parhai kay khawab ko kis tarha pura karnay ki koshish karta hay aor akhir kamyaab hota hay aor apnii betii ky khawab ko kis tarha pura karta hay is film main dekhaya gaya hay


8 Tanhaji

Ya aik worrier film hay jis main  seventeen centuary kay baray main aik story banai gai hay ky jis konthana kila aor mughal emperer orangzaib ky kabzay main tha tb usko bachanay keliya kitni koshish hoi wo is movie main dekhaya gaya hy iski main cast ajay devgan saif ali khan aor kajol ki performance ki waja say ya film boht superhit rahi

Comments

Popular posts from this blog

Top Best Hindi Dubbing and Action movies

list of Best 50 Movies with action and thriler

Best and Most Popular Movies with Action and thriller